Understanding Space
Yosmogen - Igniting Passion, Shaping Futures
Episode: Understanding Space
Mera nam Yash Mittal hai. Mujhe antriksh yani suraj, chand, aur sitaro ke bare me nayi-nayi bate janna achcha lagta hai. Kiya aap sab bhi antriksh ke bare me janna chahoge? Mai aap sab ko antriksh ke bare me kuch jankari kahaniyo ke dwara bataunga. Agar aap sab ko kahani pasand aayegi toh mai har mahine aap ko antriksh ki ek nai kahani sunaunga...
Mujhe lagta hai ki aap sab ko antriksh ke bare me shayad pata hoga… chalo shuru karte hain…
Suraj, Chand Aur Sitare Subh ko jaldi kon kon uthta hai? Akash me sabse tej chamakne wali chiz ko hum Suraj kahte hain! Waise toh suraj bohut zaroori hai, lekin agar kisi din suraj na nikale toh maza aa jaye—hume subha subha school ke liye uthna na pade.
Aur raat ko akash me sab se tej chamakne wali chiz ko kiya kahte hain? Bahut ache! Hum sab bachpan se Chand ko jante hai, kayi loriya bhi suni hai. Yeh chandrama prithvi ke chakar lagata hai. Raat ko akash me jhilmil chamakne wali chizo ko hum sitare kahte hain. Agar sitare na hote toh aakash kitna suna lagta. Kiya aap jante ho suraj bhi ek sitara hai?
Lekin aapne socha hai ki subha ko sabse teej chamakne wali cheez sooraj hai toh yeh sooraj raat ko kaha chala jata hai? Kya sone chala jata hai? Asal me prithvi aur suraj apni jagah ghoomte hain, jisse din aur raat hoti hai.
Kiya hum inpar ja sakte hain? Kiya hum suraj par ja sakte hain? Suraj toh aag ka gola hai, hum uske paas ja nahi sakte. Kuch bhi uske paas jata hai toh jal jata hai. Lekin kiya hum Chand par ja sakte hain? Haan, chand pe ja sakte hai aur insaan ja bhi chuka hai. Chand pe aag nahi hai. Kiya hum sitaro par ja sakte hain? Yeh sitare bhi sooraj ki tarha aag ke gole hai aur bahut dur hai isliye chote dekhte hai.
Space me kaise jayein? Agar hame pass ki market jana hai to hum cycle ya paidal jayenge. Agar hame Delhi jana hai to hum car, bus ya taxi se jayenge. Agar hame dusre desh jana hai toh plane ya ship se jainge. Lekin agar hame chand par jana hai toh kaise jayenge? Plane udh sakta hai lekin space mai nahi ja sakta. Space mai jane ke liye hume rocket hi chahiye!
Aaj hamne kiya jaana:
- Hamne jana ki hum Prithvi grah par rahte hain.
- Hamari prithvi 8 grah wale sorya mandal me suraj ke chakar lagati hai.
- Chandrama hamari prithvi ke chakar lagata hai.
- Hum rocket se chand par ja sakte hain.